Monday, January 16, 2023

Maa Ka Payar- Anumaan Ke Paar -Nilesh Solanki

 

Ek din ka udhaar le lu

Tu jaisa soachte

Wo bichaar le lu,

Karte jo khayal

Har ek chij ka

Kar lete ho kaise,

Chale jo pata

Wo kitab le lu.

Mere soach me mila ni,

Ye bariki dekhte

Pehchan jo lete ho

Kuch din ka hi sahi,

Wo didar le lu

Tu jaisa soachte

Wo bichaar le lu,

Tanik hi sahi

Koi anokha saa

Vardaan le lu,

Kaise karu izhaar

Thoda saa maa ka payar,

Har ek chij ka

Karte ho khayal

Ek din ka udhar le lu,

Tu jaisa soachte

Wo bichaar le lu,

Karta waisa hi izhaar

tmse bariki wala payar,

tu jaisa soachte

wo bichaar le lu ,

chale jo pata

wo kitab le lu..

                                     -Nilesh Solanki

No comments:

Post a Comment

Ghar ke sunahre paudhe 🌲

 Maine roj ek darwaza dekha Aazadi kaidi ke bich rekha dekha Dar se panpaa kai kisha dekha Wo dar se sayad anzaan thi Pilli raushni uski jaa...