Thursday, April 14, 2022

Tmhari kaamyabi se apne payar ka izhaar karta hu..



Tmhari kaamyabi se apne payar ka izhaar karta hu
Pal do pal chhor puri zindagi ka baat karta hu
Sajaaunga chotte bade sapne jo bandh aankho me
Saath rahunga tere ban ke tere chehre ke muskaano me
Ghadi koi v ho dikhunga hamesha tere siraahane me
Roj har Roj us pal ka intezaar karta hu
Tmhari kaamyabi se apne payar ka izhaar karta hu


Tmhari kaamyabi se apne payar ka izhaar karta hu
ye mulakaat chhor Tere waado ko mai adeeg karta hu
Dar v lagta rahta hai teri pyaar bhari naadaani me
Pakdunga haath khichunga har paresaani me
Weesh kya amrit kya sab meethi hai teri waani me
Ab dil chhor saanso me rakhta hu
Tmhari kaamyabi se apne payar ka izhaar karta hu      

                                    Nilesh Solanki


No comments:

Post a Comment

Astuti ki prastuti

 Aee Zindagi Tu Ye To Bata  Kis Janm Ki Thi Ye Khataa Unse Milna Thoda Hasna  Unki Hi Yaad Me Behana Behati  Yaad  Me Bhul Gaya  Dil Ki Khus...