wo to khud Ram bichari the
unka ek hi alag nara tha
jo kitno baar dohraya tha
ye desh amar rahna chahea
ye loktantra amar rahna chahea
raash na aati unko raajniti par
raajniti ne unhe bulaya tha
sidha bichar rakhne wale ko
tmne sidha ungli dikhaya tha
loktantra pe jab vikat-ta tha
matdata ka pura nikat-ta tha
adhinayak waad ko roku kaise
ye Atal jee ne kar dikhaya tha
Janta party ko todkar
tmne chhal kar dikhaya tha
Choudhary Charan Singh ko jab
satta ke liyea fuslaya tha
unki kursi ke piche khade hokar
aapne photo khichwaya tha
apne sangathan ko tod kar
satta ne kitna bulaya tha
apne sanghatan ke khatir ye
satta ko chhimti se dur hataye the
Bharat ke anmol ratno me se
wo mahaan purush ke upadhi the
aise hamare Atal Bihari the
-Nilesh Solanki