Saturday, August 21, 2021

MUJHE HAI BAS PRAKIRTI SE PAYAR

 
Mujhe hai bas prakirti se payar
Maine suna hai nadi ka vichar 
use v nahi pasand gandagi ka sath
ye jhuth, nirdayi duniya me 
maine dekha hai pedo me daya ka bhaw
pathar marne par v usne nahi badla apna swabhav

Mujhe hai bas prakirti se payar
tum bhul gaye band kamre ka hawa khate
maine mahsus kia hai khule hawa ka andaz,
usne kuch to kaha hai aake mere paas
jo jhum uthe saare paudhe ek saath

Mujhe hai bas prakirti se payar
girte dekha hai hmne kayi bade makaan,
adeeg parvat hai bhaut vishal 
maine dekha hai parvat or jharne ka misaal
kya khoob banaya tumne parvat ka jubaan
GURU

Mujhe hai bas prakirti se payar
kitna acha hai mausam ka vevhaar 
kam pad jaayega tumhara mera saath
Mujhe hai bas prakirti se payar 
Mujhe hai bas prakirti se payar.

             NILESH SOLANKI



2 comments:

Ghar ke sunahre paudhe ๐ŸŒฒ

 Maine roj ek darwaza dekha Aazadi kaidi ke bich rekha dekha Dar se panpaa kai kisha dekha Wo dar se sayad anzaan thi Pilli raushni uski jaa...