Wednesday, July 30, 2025

Ghar ke sunahre paudhe 🌲

 Maine roj ek darwaza dekha

Aazadi kaidi ke bich rekha dekha

Dar se panpaa kai kisha dekha

Wo dar se sayad anzaan thi

Pilli raushni uski jaan thi

Fr v band darwaazo me khilna

Halki hawaye halke hilna,

Ye andaaz tmhari pasand aai.


Man maun par kaid kon

Bahar sishe se, jang kyu

Wo aazadi mujhe khakhol rahi hai

Sayad mujhe samjhane me,

Ya aazadi ko paane me,

Ye antar ki kahani suna rahi hai.


Wo jo bahar ka drishya hai,

Ek chota sa briksh (tree) hai

Jo kuch to bol rahi hai,

Hawaye briksh ko tatol rahi hai

Briksh kuch apni andaaz me 

Kuch krodh, jaise madira pan me

Me jo baate ho rahi hai,

Yu kahi jaane ki iksha ho rahi hai.


Aaj ye khuli aazadi takrai kaise

Apne apno me ladaai kaise,

Prakirti ne sayad kaksha (class) banaai hai

Briksh ko sikshak me bharti karaai hai

Dar se panpi jo kisha dekhi,

Prakirti ab iska sikhsha degi.

Kamal kichad, ped pahaad

Sab karte sangarsh apaar

Sab karte sangarsh apaar..

                                                                       -Nilesh Solanki


Sunday, July 27, 2025

Khud se tm prem karo..


 Khud se tm prem karo 
Khud se tm prit karo
Khud se tm udh karo 
Khud ke tm birudh raho
Ye jindagi chahe amar si ho 
Ya ek pal me khatam si ho 
Man me halchal si ho,
Karta koi chal v ho 
Achai Ka na bodh ho
Na burai pe krodh ho.
Na ho agar bodh v,
Na ho agar santosh v.
Ya ho tm sehjaade v,
Ya udhaar k maare v
Par khud ka tm sath do,
Jab tk tm sath ho,
Sarir se saugaat ho...
Khud se tm prem karo 
Khud se tm prit karo.
Jindagi na lambi hai 
Ki dusro ko pehchaan paao,
Na hai itni chhoti v 
Ki khud ko tm anjaan paao.
Ho agar kast v pr
Sath me muskaan v,
Tm khair jaise ho
Mujh me hi to baste ho
Tm hi mere prem ho 
Tm hi mere krodh ho
Tm se hi anurodh ho,
Tm ho to sab ho 
Tm ho to sab hone ka bodh ho,
Tm hi mere prem ho 
Tmse hi meri prit ho
 

                                                    -Nilesh Solanki




Wednesday, April 2, 2025

Astuti ki prastuti

 Aee Zindagi Tu Ye To Bata 

Kis Janm Ki Thi Ye Khataa

Unse Milna Thoda Hasna 

Unki Hi Yaad Me Behana

Behati  Yaad  Me Bhul Gaya 

Dil Ki Khushi Ki Kamal

Begaani Umid Me Khil Gaya

Wo To Mere The Hi Nahi 

Mai Sab Apna Samjh Ye Bhul Gaya

Apni Kismat Ko Hi Tatol Gaya

Par Haa Umeed Meri Attot Hai 

Sapno Se Bharpoor Hai 

Kaash Kaash Kar Afsos Me

Tab Se Na Mai Hosh Me

Par Kaash Unki Dayare Ke Andar

Mera Ghar Or Mai Sikander

Us Se Na Jayada Umid Hai

Kuki Kismat Ko Na Ye Manzoor Hai

Unke Didar Me Khush Hu 

Bhale Mai Unse Dur Hu..

                                               -Nilesh Solanki

Thursday, February 27, 2025

Jindagi.....Jindagi ka kya

 Kal Ka Kya Kal Anjaan Hai 

Kal Ka Soach Jo Aaj Pareshan Hai 

Chalna Thamna Samay Ke Sath

Hasna Rona Apno Ke Sath

Chalna Bas In Lakiro K Sath 

Kya Kismat Hi Kharaab Hai

Ya Lagegi Safedi M Daag Hai

Tm Jo Ye Soach Ghabra Rahe

Darr Se Jo Kadam Chupa Rahe 

Aanshuo Ke Dher Laga Gaye

Tm To Pehle Hi Murjhaa Gaye



Agar Khil V Gaye Us Ful Ki Tarah

Na Tutte Tehni Pe Tikke Rahe 

Ya Tut Ke Agar Malo M Gutthe

Ya Tutt Ke Kisi K Hatho M Feere

Ya Hiro Ke Bistar Pe Rakhe

Hai Tmhe Andaaj Nahi 

Patto Ka V Sath Nahi

Khiloge Ek Baar Hi Kahi

Kal Jo Tm Murjhaa Gaye 

Kacchdo Me Samtaa Gaye

Jindagi …Jindagi Ka Kya 

Annt To Samaan Hai 

 

Fr Aaj Q Ghabraa Gaye 

Kal Ka Soach Ladkhada Gaye

Ye Jindagi Ek Pal Ki Hai

Iss Pal Me Hi Jindagi Hai

Ye To Tm V Maan Lo

Ya Maidaan Se Tm Tayag Lo 

Teri Khusi Anmol Hai

Iski Kya Mol Loge

Karo Tm Gumaan V

Aaj Pe Abhimaan V 

Kal Ka Kya Kal Anjaan Hai

Kal Ki Soach ..Soach Hi Saitaan Hai

Jindagi …Jindagi Ka Kya 

Annt To Samaan Hai


                                                                 -Nilesh Solanki

Ghar ke sunahre paudhe 🌲

 Maine roj ek darwaza dekha Aazadi kaidi ke bich rekha dekha Dar se panpaa kai kisha dekha Wo dar se sayad anzaan thi Pilli raushni uski jaa...